aagahi
chand samjhauton ka
la-mutnahi silsila hai
jo mujhe mere shuur ke
inam mein diya ja raha hai
zindagi!!
sirf ek tawil hijr ka zaiqa hai
jo mujhe ishq ke
ilzam mein diya ja raha hai
shaeri
jazbon ko lafz se ganTh kar
mar dene ka hausla hai
jo mujhe bandagi ke nam par diya ja raha hai
Nazm
Irtiqa
Sarwat Zehra

