qadam qadam par janaze rakkhe hue hain in ko uThao jao
ye dekhte kya ho kaam mera nahin tumhaara ye kaam hai aaj aur kal ka
tum aaj mein mahw ho ke shayad ye sochte ho
na bita kal aur na aane wala tumhaara kal hai
magar yunhi soch mein jo Dube to kuchh na hoga
janaze rakkhe hue hain in ko uThao jao
chalo janazon ko ab uThao
ye bahte aansu bahenge kab tak uTho aur ab in ko ponchh Dalo
ye rasta kab hai ek lahad hai
lahad ke andar to ek janaza hi bar paega ye bhi socho
to kya mashiyyat ke faisle se haTe haTe rengte rahoge
janaze rakkhe hue hain in ko uThao jao
lahad khuli hai
lahad hai aise ki jaise bhuke ka lalchi ka munh khula hua ho
magar koi taza aur taza na ho mayassar to basi luqma bhi us ke
andar na jaane pae
khula dahan yun khula rahe jaise ek KHala ho
uThao jaldi uThao aankhon ke samne kuchh janaze rakkhe
hue hain in ko uThao jao
lahad mein in ko abad ki ek gahri nind mein gharq kar ke aao
agar ye murde lahad ke andar gae to shayad
tumhaari murda hayat bhi aaj jag uTThe
Nazm
Irtiqa
Meeraji