mere bap ne marte dam bhi
mujh se bas ye baat kahi thi
gardan bhi uD jae meri
sach bolun main jhuT na bolun
us din se main aaj ke din tak
pag pag jhuT se Takkar leta
sach ko reza reza karta
apne dil ko in rezon se chhalni karta
KHun mein lat-pat ghum raha hun
aur mera daman hai KHali
lekin ab main thak sa gaya hun
bargad ki chhaya mein baiTha kitni der se soch raha hun
kyun na jhuT se hath mila lun
aur chupke se qabr pe apne bap ki ja kar itna kah dun
tum jhuTe the
Nazm
Irfan
Sulaiman Areeb