kal azan-e-subh se pahle faza-e-quds mein
main ne dekha kuchh shanasa suraten hain ham-nashin
the hakim-e-sharq se shaiKH-e-mujaddid ham-kalam
gosh-bar-awaz sab danish-waran-e-ilm-o-din
bul-kalam-'azad' se 'ghaalib' the masruf-e-suKHan
'mir' o 'momin' daur-e-hazir ki ghazal pe nukta-chin
is se kuchh haT kar gulabi shaKH-chon ki chhanw mein
the waliullah ke farzand nukta-afrin
istada sarw ke sae mein the maula-e-rum
jin ke farmudat mein muzmar hain aayat-e-mubin
soch mein Dube hue the 'haali'-e-darwesh-KHu
bandh kar baiThe halqa shibli-e-ahd-afrin
main ne baDh kar murshid-e-iqbaal se ye arz ki
aap ko hum tira-baKHton ki KHabar hai ya nahin
dil-shikasta ho ke farmaya mujhe malum hai
be-yad-e-baiza hai piran-e-haram ki aastin
saltanat le kar KHuda o mustafa ke nam par
ab KHuda o mustafa ki rah par koi nahin
hai abhi shahbaz ki ghairat par kargas KHanda-zan
hai wahi sarmaya-dari banda-e-momin ka din
is se baDh kar aur kya fikr o amal ka inqalab
padshahon ki nahin allah ki hai ye zamin
kaun samjhae andheri raat ko aain-e-mahr
wae bad-baKHti ki KHud momin hai mahrum-e-yaqin
KHun de kar KHana-e-sayyaad ko raushan karo
jao mashriq ke KHarab-abaad ko raushan karo
Nazm
Iqbaal se ham-kalami
Shorish kashmiri