aaya hamare des mein ek KHush-nawa faqir
aaya aur apni dhun mein ghazal-KHwan guzar gaya
sunsan rahen KHalq se aabaad ho gain
viran mai-kadon ka nasiba sanwar gaya
thin chand hi nigahen jo us tak pahunch sakin
par us ka git sab ke dilon mein utar gaya
ab dur ja chuka hai wo shah-e-gada-numa
aur phir se apne des ki rahen udas hain
chand ek ko yaad hai koi us ki ada-e-KHas
do ek nigahen chand azizon ke pas hain
par us ka git sab ke dilon mein muqim hai
aur us ke lai se saikaDon lazzat-shanas hain
is git ke tamam mahasin hain la-zawal
is ka wafur is ka KHarosh is ka soz-o-saz
ye git misal-e-shola-e-jawwala tund-o-tez
is ki lapak se baad-e-fana ka jigar gudaz
jaise charagh wahshat-e-sar-sar se be-KHatar
ya sham-e-bazm subh ki aamad se be-KHabar
Nazm
Iqbaal
Faiz Ahmad Faiz