tumhein malum hai wo be-KHudi ka kaisa aalam tha
mere honTon mein jalti paTriyan bhi muskuraati thin
meri aankhon ko raaten jagne ka gham nahin tha jab
mere hathon mein bikhri silwaTen shikwa na karti thin
mere pairon ka nanga-pan kahin be-dam nahin tha jab
mujhe khaddar ke malbusat bhi ruswa na karte the
kisi khane ki basi badbuon mein gham nahin tha jab
ye sari mehnaten kyun meri aankhon mein utarti hain
ye honTon mein dimaghon ka khinchao jagta kyun hai
ye chehre ki lakiren kyun mujhe ranjida karti hain
ye kaise ranj hain aalam hain gham hain tabahi hai
meri KHud-agahi ke sabz chashme KHushk se kyun hain
ye kaisi dhup hai jo jism ki ranai jhulsae
ye kaisi chhanw hai jo sardiyon ki barf ban jae
ye main ne chandni ko muddaton se kyun nahin dekha
ye kyun in barishon mein phul raston mein nahin phaile
ab is mamta ki shabnam kyun mere dil par nahin girti
meri aaghosh mein basti ke bachche kyun nahin aate
wahi hangam ab kyun ek pagal-pan sa lagta hai
kisi dilchasp KHamoshi mein kyun wahshat si hoti hai
ye aaKHir rafta rafta sari duniya kyun badalti hai
magar jab sochti hun main to ye bohran ka aalam
ye sari hosh ki duniya hai bas ek KHwab ke pichhe
ye sare bolte aansu ye honTon main khinchao sa
ye jalti dhup dushman chhanw guzre chand ki kirnen
ye aazurda se raste mamta se KHali aaghoshen
ye pagal-pan ki duniya wahshaton ki ghor tariki
ye meri ruh ke andar badalti aadaton ka gham
tumhaara muntazir hai tum mujhe mazbut banhon mein
kabhi haule se le loge mere kanon mein kah doge
tumhein kis baat ka gham hai tumhein kaisi pareshani
tumhaare pas hain jo hun tumhaare gham main le lunga
Nazm
Intizar
Tanveer Anjum