qabil-e-did hai mashshatgi-e-fasl-e-bahaar 
zulf-e-sumbul mein naya husn nazar aata hai 
surKHi-e-chehra-e-gul se hai shafaq-zar chaman 
rang shabnam ka bhi kuchh surKH hua jata hai 
dekh kar surKHi-e-ruKHsar-e-gulistan gulchin 
apne dastur mein tarmim kiye jata hai 
mutanabbe bhi kiye jata hai har patte ko 
nam bhi fasl-e-bahaaran ka liye jata hai 
zer-e-tartib hai aain-e-chaman-arai 
ye haqiqat hai ki takmil abhi baqi hai 
patte patte pe abhi sabt nahin naqsh-e-bahaar 
yani ijmal ki tafsil abhi baqi hai 
baghbani abhi lazzat-kash-e-gul-chini hai 
dekh kar dast-e-hawas phul laraz jate hain 
itne sayyaad hain saf basta ki murghan-e-chaman 
aashiyanon se nikalte hue ghabraate hain 
gul-faroshi hai abhi fasl-e-bahaaran ki mushir 
lala-o-gul ka tabassum hai hirasan ab tak 
laDkhaDati hui chalti hai gulistan mein nasim 
phul khilte hain to hote hain pasheman ab tak 
yahi tariKH-e-chaman hai yahi tariKH-e-bahaar 
pahle do chaar hi phulon pe nikhaar aata hai 
aankhen malta hua phir nind se uThta hai shabab 
patte patte mein nazar ru-e-nigar aata hai 
le ke phir god mein ghunchon ko ye kahti hai saba 
main tumhaari hun ki gulchin ki tumhin ghaur karo 
daur-e-takmil-e-bahaar aaega aaega zarur 
intizar aur karo aur karo aur karo
        Nazm
Intizar
Parvez Shahidi

