diwar se laTkae
afsurda khaDa hai eucalyptus ka daraKHt
soch mein gum
ab tak wo sunahre baal wali
shoKH kiran aai nahin
aate hi lipaT jaegi mere jism se belon ki tarah
raat pighalti rahi hai bund bund
dam toDti hain aaKHiri saaten
ai dil-e-nadan dil-e-be-tab Thahar
bas kuchh hi pal aur sabr kar
ujala hone bhar
Nazm
Intizar ke dosh par
Perwaiz Shaharyar