اردو हिंदी
Intizar | Shaahi Shayari
intizar

Nazm

Intizar

Faiz Ahmad Faiz

;

guzar rahe hain shab o roz tum nahin aatin
riyaz-e-zist hai aazurda-e-bahaar abhi

mere KHayal ki duniya hai sogwar abhi
jo hasraten tere gham ki kafil hain pyari

abhi talak meri tanhaiyon mein basti hain
tawil raaten abhi tak tawil hain pyari

udas aankhen teri did ko tarasti hain
bahaar-e-husn pe pabandi-e-jafa kab tak

ye aazmaish-e-sabr-e-gurez-pa kab tak
qasam tumhaari bahut gham uTha chuka hun main

ghalat tha dawa-e-sabr-o-shakeb aa jao
qarar-e-KHatir-e-betab thak gaya hun main