اردو हिंदी
Intizar | Shaahi Shayari
Intizar

Nazm

Intizar

Aslam Emadi

;

kabhi tum hans paDo
kabhi

main hans rahun
ki hum sab ek hi Dali pe apne apne lamhe mein

mahakne aur murjhane ki KHatir
phul hain

jidhar aa jae mauj-e-ruh-parwar
pattiyan chamkin

faza mahke
magar kab aae kis jaanib ye gahra raaz hai

shayad kabhi chalte hue dhaare mein
koi sabza ug aae

koi aawaz KHamoshi mein apne par hilae
magar kab aur kis jaanib ye gahra raaz hai