hamari chahaton ki buz-dili thi
warna kya hota
agar ye shauq ke mazmun
wafa ke ahd-name
aur dilon ke marsiye
ek dusre ke nam kar dete
ziyaada se ziyaada
chahaten bad-nam ho jatin
hamari dosti ki dastanen aam ho jatin
to kya hota
ye hum jo zist ke har ishq mein sachchaiyan sochen
ye hum jin ka asasa tishnagi,i tanhaiyan sochen
ye tahriren
hamari aarzu-mandi ki tahriren
baham paiawastagi aur KHwab paiwandagi ki tahriren
firaq o wasl o mahrumi o KHursandi ki tahriren
hum in par munfail kyun hun
ye tahriren
agar ek dusre ke nam ho jaen
to kya is se hamare fan ke rasiya
sher ke maddah
hum par tohmaten dharte
hamari hamdami par tanz karte
aur ye baaten
aur ye afwahen
kisi pili nigarish mein
hamesha ke liye marqum hu jatin
hamari hastiyan mazmum ho jatin
nahin aisa na hota
aur agar bil-farz hota bhi
to phir hum kya
subuk-saran-e-shahr-e-harf ki chaalon se Darte hain
sagan-e-kucha-e-shohrat ke ghaugha
kale bazaron ke dallalon se Darte hain
hamare harf jazbon ki tarah
sachche hain, pakiza hain, zinda hain
bala se hum agar maslub ho jate
ye sauda kya bura tha
gar hamari qabr ke katbe
tumhaare aur hamare nam se mansub ho jate!
Nazm
Intisab
Ahmad Faraz