us ka chehra, us ke KHadd-o-KHal yaad aate nahin
ek shabistan yaad hai
ek barhana jism aatish-dan ke pas
farsh par qalin, qalinon pe sej
dhat aur patthar ke but
gosha-e-diwar mein hanste hue!
aur aatish-dan mein angaron ka shor
un buton ki be-hisi par KHashm-gin
ujli ujli unchi diwaron pe aks
un farangi hakimon ki yaadgar
jin ki talwaron ne rakkha tha yahan
sang-e-buniyaad-e-farang!
us ka chehra us ke KHadd-o-KHal yaad aate nahin
ek barhana jism ab tak yaad hai
ajnabi aurat ka jism,
mere honTon ne liya tha raat bhar
jis se arbab-e-watan ki be-hisi ka intiqam
wo barhana jism ab tak yaad hai!
Nazm
Intiqam
Noon Meem Rashid