phir aaj yas ki tarikiyon mein Dub gai!
wo ek nawa jo sitaron ko chum sakti thi
sukut-e-shab ke tasalsul mein kho gai chup-chap
jo yaad waqt ke mehwar pe ghum sakti thi
abhi abhi meri tanhaiyon ne mujh se kaha
koi sambhaal le mujh ko, koi kahe mujh se
abhi abhi ki main yun DhunDhta tha rah-e-farar
pata chala ki mere ashk chhin gae mujh se

Nazm
Intiha
Mustafa Zaidi