اردو हिंदी
Intibah | Shaahi Shayari
intibah

Nazm

Intibah

Shamim Alvi

;

gaDi khinchna
aur chalate rakhna

do muKHtalif rau mein
baham rabt-o-rah ke nasheb-o-faraaz

raftar ko mutassir karte hain
muzahimat ki surat mein

break lagane mein hi aafiyat hai
kyunki madd-e-muqabil ko apni raftar par qabu nahin agarche

aap ko to apni jaan aziz hai
raftar par control ka rawayya

zindagi ko sahl aur aasan banata hai
aur yahi

zindagi karne ka qarina bhi hai