zamane ki hawa badli udhar rang-e-chaman badla
gulon ne jab rawish badli anadil ne watan badla
tariqa aashnai ka kabhi aisa na badla tha
ki chaal ushshaq ne badli hasinon ne chalan badla
badalte aae hain yun to hamesha daur gardun ke
na aisa bhi ki hum badle hamara kul jatan badla
maqasid mazhab o millat ke badle daur-e-alam ne
sahaif ki sharh badli kitabon ka matan badla
badal Dala hai aisa maghribi tahzib ne hum ko
mazaq-e-KHwan-e-nemat aur tarz-e-pairahan badla
purani chaal be-Dhangi hamari dekhen kab badle
abhi tak jug hi badle the ghazab ye hai qaran badla
na badla par na badla hae tarz-e-muasharat qaumi
agarche sari duniya ka hunar aur ilm-o-fan badla
nizam-e-shaeri mein hae aaya inqalab aisa
ki shan-e-nazm badli aur andaz-e-suKHan badla
saliqa intiqad-e-jins-e-hirfat ka nahin hum ko
zar-e-KHalis se abresham-numa europe ne san badla
na badla hai na badlega faqat qanun-e-islami
'qamar' jab tak ki qudrat ne na ye charKH-e-kuhan badla
Nazm
Inqalab
Syed Taslim Haider Qamar