barha dekha hai tu ne aasman ka inqalab
khol aankh aur dekh ab hindostan ka inqalab
maghrib o mashriq nazar aane lage zer-o-zabar
inqalab-e-hind hai sare jahan ka inqalab
kar raha hai qasr-e-azadi ki buniyaad ustuwar
fitrat-e-tifl-o-zan-o-pir-o-jawan ka inqalab
sabr wale chha rahe hain jabr ki aqlim par
ho gaya farsuda shamshir-o-sinan ka inqalab
Nazm
Inqalab-e-hind
Zafar Ali Khan