ye kah rahi hai ishaaron mein gardish-e-gardun
ki jald hum koi saKHt inqalab dekhenge
nizam-e-charKH mein dekhenge ek taghayyur-e-KHas
sukun-e-dahr mein ek iztirab dekhenge
KHuda ne chaha to ab jald hi watan wale
watan mein apna mission kaamyab dekhenge
duaen ki hain jo ahl-e-watan ne ro ro kar
yaqin hai jald unhen mustajab dekhenge
zamana aane hi wala hai jab hum ai zalim
tujhe bhi KHwar tujhe bhi KHarab dekhenge
bahut hi jald tere sar pe bhi KHuda ki qasam
KHuda ka qahr KHuda ka itab dekhenge
tujhe bhi dekhenge majbur-e-faqa-o-aflas
tujhe bhi qaid-e-gham-o-iztirab dekhenge
tujhe bhi apni tarah jald hi ba-fazl-e-KHuda
asir-e-silsila-e-pech-o-tab dekhenge
tujhe bhi apni tarah pa-e-band-e-nala-o-ah
yun hi majal-e-tbah-o-KHarab dekhenge
rawan-dawan tujhe hindostan se soe adam
ba-qalb-e-zar o ba-chashm-e-pur-ab dekhenge
ye dekhna hai jo kuchh hum ko us mein der nahin
bahut hi jald bahut hi shitab dekhenge
Nazm
Inqalab
Ahmaq Phaphoondvi