kaha kis ne sitam ke din kabhi daim nahin rahte
KHuda ko manne wala wo shair jo mere andar nihan hai puchhta hai
kaha kis ne ki istibdad ek zimni haqiqat hai
kaha kis ne tashaddud barbariyat kam baqa kuchh sanehe se hain
hamesha jo nahin rahte
faqat nairang hain kuchh din rahenge
aur phir dad-o-sitad insaf ki farma-rawai lauT aaegi
magar main dekhta hun har taraf bas ek manzar hai
wasi-ul-qalb insan jo mere andar nihan hai phir ye kahta hai
awamunnas sar ko niwDhae munh chhupae
aajiz-o-miskin baiThe hain
sabhi KHawas apni be-murawwat KHud-numai mein
ananiyat se aise dandanate phir rahe hain
jaise malik hon jahan ke
hua kya hai
mere maula ki hum jo aajiz-o-miskin hain
apni jabin-sai mein yun masruf hain
itna bhi dil gurda nahin rakhte
ki in firaun-zadon se ye puchhen kaun ho tum
magar ye hausla kab hai kisi mein
log to ranjur baiThe hain
ki jab qabren bulaengi
to sar par KHak oDhenge
Nazm
Inni-kunto-minazalemin
Satyapal Anand