اردو हिंदी
Inkishaf | Shaahi Shayari
inkishaf

Nazm

Inkishaf

Rashid Aazar

;

sar-e-bazm kal mujhe dekh kar
wo isi KHayal se Dar gai

ki main us ki or hawaon mein
kahin apna bosa uDa na dun

wo simaT ke aur sanwar gai
kuchh ajib KHauf sa dil mein tha

mujhe dekh kar wo palaT gai
na to bhul hai na to yaad hai

ye supurdagi ka tazad hai
wo khaDe khaDe jaise so gai

wo tasawwuraat mein kho gai
wo tasawwuraat bhi KHub the

main daraKHt ban ke khaDa raha
to wo bel ban ke lipaT gai

main taras raha tha sugandh ko
to wo shaKH-e-gul si lachak gai

mera jhuT-muT ka nashsha tha
mujhe dekh kar wo bahak gai

bas isi ka us ko malal tha
ki wo KHwab tha na KHayal tha

phir achanak aa ke qarib hi
kiya jab kisi ne sawal to

wo jo soch thi wo bikhar gai
main samajh raha tha ki KHush hai wo

magar us ko dekh ke yun laga
ki ye sochna meri bhul thi

mujhe dekh kar wo malul thi