qulur-ruh min amr-e-rabbi
un logon se jo ye samajhte hain ki har baat lafz se shurua hoti hai
main aaj un ko chhoDne aaya hun
Thik us jagah pe jahan se koi lafz shurua nahin hota
sirf chand aankhen hoti hain in aankhon aankhon ko rakhne ke kai hawa hawa main Dolti hain
sirf chand aankhen hoti hain aasman ke chhoTe se TukDe ko utar kar der tak gunjti rahi
sirf chand aankhen hoti hain jo intizar karti hain ki koi un mein utre
aur in se kahe ki chalo hum tumhein phir se peDon aur parindon se aabaad kar den
chalo phir se tumhein be-laus mohabbat ki jalwaten aur KHalwaten baKHsh de
so ye mera qissa hai ki main ne utarne ki riwayat ka baDa ehtiram kiya
KHud ko bhul dusron ka kaam kiya
ye abhag un ka tha ki unhon ne mujhe pahchana nahin
main koi aur rah ho leta par dil mana nahin
main bahut pas se guzra tha
dil hi dil mein jo umr-bhar lahraati hai zaban par kabhi nahin aati
is mausiqi ka lams ban ke main bahut pas se guzra tha
main bahut pas se guzra tha
aur meri aamad ke arsa mein zamin ki aab-o-hawa
neki-o-badi KHubsurti-o-bad-surti sab se be-niyaz thi sarapa raaz thi
aur gyan ek jage hue dil ka nam tha
sawalon se be be-niyaz jawab na-tamam tha
KHuda se milti jalti aadmi ki mohabbat
bichhDi hui azal ki neamat
har-chand ki hasil-e-abad hai
aur be-niyaz nek-o-bad hai
phir bhi nazar mein aadmi ki auqat
aur duniya jo jism-o-jaan ki had hai
aur ke haqir raston mein tum mujh se shairi ka matlab puchhte ho
main nahin bata sakta main kyun bataun main nahin batata
ye qissa meri dehati aankhon mere dehati dil ka hai
jab bahut bahut ghani raat mein musafir ke panw tale rasta nahin hota
tab wo kis anokhe sitare se rasta puchhta hai
tab kaun sa ishaara musafir ke panw ko tarik kar dene ki shart batata hai
peD ki phalangi par mahokha bolta hai
pani ki zaban jaanne wali TiTihri ki chonch se din nikalta hai
tum nahin bata sakte tum ne kabhi nahin bataya tum kabhi nahin bataoge
tumhaari aabaadiyan akal mein mare hue logon ki bad-duaen hain
mazi haal mustaqbil tin andhe faqiron ki sadaen hain
main tum mein shamil-e-safar hun magar panah mangta apni ajal ko DhunDhta hun
aur jo apni ajal ko DhunDhta hai
tumhaari duniya us ka kuchh nahin bigaD sakti
magar main aise ahd-e-ba-asar mein hun
ki jis ki har sada sada-e-be-asar hai
aur guftugu ka peD be-samar hai
KHuda se kar chuke hain jo kalam wo kalim apni bazgasht chhoD ke chale gae
aur KHak-e-baz-gasht aaj
uD rahi hai iltibas mein
aur wo KHamushi thi jo mahan aatma ka ramz thi
aur us ki aankh sabz thi
phir bhi soch ke ji Darta hai
phir bhi soch ke ji Darta hai
jaane wale aane walon ko aisi hi aas bandhate hain
hath nahin aati hai amar-lata
yahan pahunch kar main sochta hun
yahan pahunch kar main sochta hun
mujhe aansu kis ne diye
aur kaun sa aansu mere wirsa ka baatin hai
kis se bichhaD kar miTTi pani banti hai
nadi akeli bahti hai
duniya chhoD ke kaun samundar ki tah mein baiTh ke likhta hai aur apna qalam Dubota hai
jis pul par chal ke kahne wala sunne wale tak pahunchta hai
wo ek aisa sach hai jise maut zindagi se chhup kar bolti hai
insani dil ki shakl se milte-julte KHeme ab bhi jalte hain
Nazm
InKHila
Ahmad Hamesh