mera dukh mera aabai makan hai
so
meri beTi
jahan se tere jism ki ek bund ko mahfuz rakhe hue
main anjaane safar par nikla
aur zamin bhar ke tamam dukhon mein umr bhar safar karta raha
meri beTi
tu ne in lalTenon ke mazi ko nahin dekha
jin mein har raat koi na koi aurat raushan hoti aur phir bujh jati
aur bujhi hui aurat dobara kabhi raushan nahin hui
mohabbat ne peDon ko aur peDon ne parchhaiyon ko janam diya
agar koi bujhi aurat dobara raushan ho jati
to mohabbat us ke peD aur us ki parchhaiyon ko
yakja kar ke ek nai duniya banai ja sakti thi
meri beTi
tu ne edison ke bulb ke zamane
us ki raaton aur us ki parchhaiyon ke darmiyan janam liya
phir tu ne kisi na kisi raat aur is ki parchhain ko sameT ke
fuse hote hue bulb ko zarur dekha hoga
magar kya tu dekh sakti hai
ki jab edison ka koi bulb fuse hota hai
to us ke hisse ki raat bhi us mein fuse ho jati hai
aur fuse hone wali raat dobara zamin par kabhi hui hi nahin
meri beTi
tu ne apni man ke batn se janam lene wali
apni DeDh mah ki bahan ko marte hue nahin dekha
ki jab us ke hisse ki raat us ke bulb
to us ke hisse ki raat bhi us mein fuse ho jati hai
aur fuse hone wali raat dobara zamin par kabhi hui hi nahin
meri beTi
tu ne apni man ke batn se janam lene wali
apni DeDh mah ki bahan ko marte hue nahin dekha
ki jab us ke hisse ki raat us ke bulb
aur is ki parchhain bhi
us ki nannhi qabr mein dafn ho gai thi
meri beTi
zara dekh to sahi zamin par kitna waqt guzar chuka
aur kitna waqt guzarne ko baqi hai
agar tu apne dil se mere dil tak ek rah bana sake
to is mein der na kar
phir rah se rah bana
aur har us nadi mein utar ja
jo tere bap ki umr bhar ke aansuon se bani hui aankhon
aur un se bane hue dukhon se bahti hui aai hai
meri beTi
har nadi ka intizar karte hue samundar mein utar ja
samundar mera dil hai
us dil mein kuchh ghaDi ruk ke zara dekh
ki tujh mein ab tak kitna zinda hun
so is se pahle ki
main tere dekhte dekhte mar jaun
samundar mein utar ja
Nazm
Injala ke liye ek nazm
Ahmad Hamesh