tumhein ye uzr hai
tum ko jo di gai hai zamin
wo muKHtasar hai bahut
jo bazuon mein sameTo to wo simaT jae
isi liye ho tum ehsas-e-kam-tari ka shikar
aur un ko kitni iradat se dekhte ho
jinhen
zamin mili hai hudud-e-nigah se bhi bahut dur dur phaili hui
suno
zamin ki wusat to koi chiz nahin
jo nasl aaegi kal wo haden na napegi
faqat ye dekhegi
ki jo latafat-e-qalb-o-nazar yahan par hai
qarib o dur kahin bhi nahin
kahin bhi nahin
tum apne kandhon pe apna hi sar tulu karo
safar shurua karo
Nazm
Infiradiyat
Nahid Qasmi