samay hai ek samundar
jug sadiyan aur sal
mausam mah aur hafte
raat aur din
sham-o-sahar
bahr-e-waqt ke qatre hain sab
is sagar ke koi nahin hain kinare
koi safina par nahin kar paya is ko
ek bulbule ki godi mein
tum main hum sab bahte hain
is se qabl ki hum bhi yahin par
gharq yun hi ho jaen
kyun na hawa ke pankh laga kar uD jaen
sawan rut ke dhule hue se aasman mein
aaj ke Dubte suraj se hum aankh milaen
pul do pul ko
indr-dhanush ban jaen
Nazm
Indr-dhanush ban jaen
Subodh Lal Saqi