اردو हिंदी
India | Shaahi Shayari
india

Nazm

India

Zeeshan Sahil

;

ab meri mez par
tin chhoTe chhoTe pyale hain

ek safed rang ka hai
dusre par nile rang ke phul bane hain

aur tisra kori miTTi se bana hai
main pahle piyale mein

pani rakhunga
dusre mein rang

aur tisare mein phulon ki pattiyan
ek baDe piyale mein phulon ki pattiyan rang

aur pani rakh dunga
aur ek safed kaghaz par

apne KHwabon aur mohabbat ka
ek halka sa KHaka banaunga

aur bahar dhup mein phaila dunga