اردو हिंदी
Imtinaa ka mahina | Shaahi Shayari
imtinaa ka mahina

Nazm

Imtinaa ka mahina

Akhtar Husain Jafri

;

is mahine mein ghaarat-gari mana thi, peD kaTte na the tir bikte na the
be-KHatar thi zamin mustaqar ke liye

is mahine mein ghaarat-gari mana thi, ye purane sahifon mein mazkur hai
qatilon, rahzanon mein ye dastur tha, is mahinon ki hurmat ke eazaz mein

dosh par gardan-e-KHam salamat rahe
karbalaon mein utre hue karwanon ki mashkon ka pani amanat rahe

meri taqwim mein bhi mahina hai ye
is mahine kai tishna-lab saaten, be-gunahi ke katbe uThae hue

roz o shab bain karti hain dahliz par aur zanjir-e-dar mujh se khulti nahin
farsh-e-hamwar par panw chalta nahin

dil dhaDakta nahin
is mahine main ghar se nikalta nahin