imtihan sar par hai laDke laDkiyan hain aur kitab
date-sheet aai to goya aa gaya yaum-ul-hisab
sirf ek kaghaz ke purze se hua ye inqalab
KHud-ba-KHud har ek shararat ka hua hai sadd-e-bab
pahle thin wo shoKHiyan jo aafat-e-jaan ho gain
lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisyan ho gain
waqt raTne ke liye kam rah gaya zyaada hai kaam
sal bhar jin ko na dekha wo KHulase nek-nam
samne rakkhe hain un ko jhuk ke karte hain salam
un ki puja hi mein sara waqt hota hai tamam
telewision bhi nahin ghaeb hue hain sare khel
Dal kar kolhu mein bachchon ko nikalo un ka tel
aaj-kal bhule hue hain sab election aur debate
practical ki copiyon ke aaj-kal bharte hain peT
haziri ab kaun bole kaun ab aaega leT
college aur school hain sunsan KHali in ke gate
band hai kamre ke andar gardish-e-lail-o-nahaar
kya KHabar aai KHizan kab kab gai fasl-e-bahaar
imtihan ka bhut hai ya hai qayamat ka saman
ammi aur abba se chhup kar ro rahi hain laDkiyan
kahte hain laDke kiya karte the jo aTkheliyan
yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan
ab hiran ki tarah se bhule hue hain chaukDi
is qadar raTna paDa hai jal uThi hai khopaDi
haal par bachchon ke hain behad pareshan waldain
sath mein aulad ke un ka uDa jata hai chain
garche hai talim aur raTne mein boad-ul-mashriqain
sochte hain wo ki achchha zehn hai KHaliq ki den
kya KHabar thi is tarah ji ka ziyan ho jaega
yani ye pahle hi nazr-e-imtehan ho jaega
raat bhar jagenge wo jo sal bhar sote rahe
kaTne jate hain gandum garche jau bote rahe
kya tawaqqo un se rakkhen fail jo hote rahe
naql kar ke dagh ko daman se jo dhote rahe
naqsh fariyaadi hai in ki shoKHi-e-tahrir ka
marka hota hai ab tadbir ka taqdir ka
jo sawal important aata hai har ek bab mein
ghaur se dekha hai us ko din-dahaDe KHwab mein
ho gaya hun is liye bad-nam main ashab mein
out kar Dala hai paper aalam-e-asbab mein
kuchh to hai aaKHir jo guess paper mein aaya yaad tha
jis ne paper set kiya hai wo mera ustad tha
Nazm
Imtihan
Syed Mohammad Jafri