abbu-jaan aksar kahte the
sach ko zara mushkil aati hai
fath magar mil jati hai
jaise bhi haalat hun bad-tar
kisi ke aage jhukna mat
zehn ka sauda karna mat
ammi kab pichhe rahti thin
wo bhi hamesha kahti thin
beTa din-o-mazhab ko aur umda aKHlaq ko tum
ammi jaan sa pyara jaano lekin jhuT aur makr fareb
bad-ahdi aur dil-azari
un se duri rakhna tum
yaad hain mujh ko wo baaten bhi maktab mein jo aagha the
baDe hi pyar aur baDi jatan se
ujle kaghaz jaise dil pe
hum sab ke ye likhte the
mehnat diyanat achchhi baaton jurat aur haq-goi ko
ilm ka hasil meri izzat ghar walon ki daulat samjho
bhayya jo kam kam dikhte the
ganw ganw phirte rahte the
gande-made logon ko bhuke-nange bachchon ko
jaane kya kya sikhlate the hum jaisa hi batlate the
nahin kisi se nafrat karna aazadi pe jaan de dena
aur bhi kuchh kahte the wo
ye sab baaten bachpan ki hain
lekin ab to bap bhi hun main
maktab ke aagha ki tarah se bachchon ka ustaz bhi hun main
ammi jaan ki sari baaten ab bhi mere zehn mein hain
bhayya ke aadarshon ko kabhi bhula na paya main
par ab jo main dekh raha hun samaj mein baste logon ko
ammi abbu ki baaton ka jo jo natija bhog raha hun
aagha ke anmol se moti dekh ke sab hanste hain log
bhayya ke aadarsh ko bhi sab mara mara sa kahte hain
phir kaise ye sari chizen mein apne bachchon ko dun
aisi gahri tariki mein ammi abbu aagha ke
haq aKHlaq aur gyan ke jugnu raushni kya phailaenge
ya ghup andhere ke ajgar
chun chun ke unhen kha jaenge
jab jab sochta hun ye sab
dubidha mein paD jata hun
tab haule se dil mein utar kar
ammi jaan ki ruh-e-muqaddas
chup ke se kah jati hai
beTe jab abbu ne main ne
bhayya aur aagha sahab ne
apni amanat di thi tujh ko
tab bhi aise log the baste
tab bhi aisa ghup andhera
aisi hi tariki thi
Nazm
Ilm-e-sina
Abu Bakr Abbad