ek shahr tha ek bagh tha
ek shahr tha
ya taza mewon se lada ek bagh tha
ek bagh tha
ya shoKH rangon se bhara bazar tha
bazar tha ya jugnuon ki raushni se khelti ek raat thi
ek raat thi
ya gungunati jhumti
naghmat ki barish mein bhigi
wasl ki saughat thi
ek shahr tha ek bagh tha ek raat thi
aur un ke daman mein
bahaar-e-wasl ki saughat thi
ek roz rang-o-nur ke mausam ko
baad-e-shart uDa kar le gai
ek mauj-e-KHun kahiye use
us shahr ke us bagh ke
nam-o-nishan sare baha kar le gai
ai nauhagar
ai raqim-e-afsana-e-zer-o-zabar
ai chashm-e-hairat chashm-e-tar
ibrat ki ja hai kis qadar
ab yaad ka hai ek afsurda nagar
is shahr mein
kuchh der ko Thahren zara
nauha karen
qissa likhen
tariKH ke auraq mein
ek bab kholen yaad ka
taqdir-e-hast-o-bud ka
maghmum afsana likhen
Nazm
Ek shahr tha ek bagh tha
Ain Tabish