hum is zamin o aasman ke darmiyan
hairan hain aur sar-garan
ai KHuda-e-do-jahan!
ai harf-e-kun ke raaz-dan!
ai mamba-e-kaun-o-makan!
itna to batla de
koi aisi bhi duniya hai
jahan insaniyat ki saf peshani pe
ilm o fan ki pau phaTti ho aur
fikr o nazar ke aainon se
nur ki kirnen ubalti hon
dilon mein KHair o barkat ki duaen gunjti hon
subh dam aakash ke nilam tale
jam-e-haqiqat pi ke jine ki tamanna raqs karti ho
jahan ehsas ke kohre se
fikr-e-nau ke tare jhilmilate hon
jahan honTon pe harf-e-agahi ki jot ho
aankhon se hairat
zehn se wijdan ke chashme ubalte hon,
jahan raaton ke sannaTe mein
dil mahw-e-niyaz-o-naz rahta ho
faza-e-be-karan ke sahar ka hamraaz rahta ho
mohabbat, ishq, dildari, wafa unwan-e-hasti hon
uKHuwwat, narm-guftari ata-e-paimana-edil hon
KHuda-e-lam-yazal batla
koi aisi bhi duniya hai
kahin aisa bhi hota hai
siyasat ki fusun-sazi
tijarat ki ziyan-kari
hawas ki garm-bazari
kisi ayyar-e-quwwat ki jahan-dari
mein dam ghuTta hai
har lamha azab-e-jawedan malum hota hai
KHuda-wand! ye tere sada dil bande kahan jaen?
Nazm
Ek sawal KHuda-e-bartar se
Sajida Zaidi