isi mein millat-e-baiza sama 'ja kud ja bhar ja
teri qismat mein likkha ja chuka hai tisra darja
na gunjaish ko dekh is mein na tu mardum-shumari kar
langoTi kas KHuda ka nam le ghus ja sawari kar
wo khiDki se kisi ne morcha-bandon ko lalkara
phir apne sar ka gaThra dusron ke sar pe de mara
kasi ne dusri khiDki se jab dekha ye nazzara
zamin par aa raha dham se koi taj-e-sar-e-dara
agar ye railway ka silsila iran ja pahunche
to sikkhar par utarta shaKHs asfahan ja pahunche
ye sare khet ke ganne kaTa laya hai Dabbe mein
wo ghar ki chaarpai tak uTha laya hai Dabbe mein
khaDe huqqe ba-ma-minar--eatish-dan to dekho
ye qaum-e-be-e-sar-o-saman ka saman to dekho
wo ek rassi mein pura lao-lashkar bandh lae hain
ye bistar mein hazaron tir nashtar bandh lae hain
surahi se ghaDa roTi se dastar-KHwan laDta hai
musafir KHud nahin laDta magar saman laDta hai
wo ek dana-e-gul logon mein yun ghul-mil ke baiThe hain
razai mein jo yun baiThe hain goya sil ke baiThe hain
awamunnas ko dars-e-falah-e-am dete hain
bahr-su thukne ka farz bhi anjam dete hain
idhar kone mein jo ek majlis-e-bedar baiThi hai
kirae par election ke liye tayyar baiThi hai
siyasat mein dama-dam apna chamcha marte jaen
agarche haarte jaen magar lalkarte jaen
baDe launDe ko maula-baKHsh-ji kitna paDhaoge!
use B-A pe rokoge ki LLB karaoge!
wo B-A hai magar B-A ki KHu aai nahin us ko
abhi man bap ke kapDon se bu aai nahin us ko
baham yun guftugu mein aashnai hoti jati hai
laDai hoti jati hai safai hoti jati hai

Nazm
Ek rail ke safar ki taswir khinchta hun
Syed Zameer Jafri