tere bhi dil mein huk si uTThe KHuda kare
tu bhi hamari yaad mein taDpe KHuda kare
majruh ho bala se tere husn ka ghurur
par tujh ko chashm-e-shauq na dekhe KHuda kare
kho jaen tere husn ki ranaiyan tamam
teri ada kisi ko na bhae KHuda kare
meri hi tarah kashti-e-dil ho teri tabah
tufan itne zor ka uTThe KHuda kare
rahon ke pech-o-KHam mein rahe ta-hayat gum
manzil tere qarib na aae KHuda kare
zulmat ho tu ho aur teri rahguzar ho
duniya mein teri subh na phuTe KHuda kare
tujh par nashat-o-aish ki raaten haram hon
mar jaen tere saz ke naghme KHuda kare
aaen na tere bagh mein jhonke nasim ke
tera gul-e-shabab na mahke KHuda kare
har lamha teri ruh ko ek be-kali si ho
aur be-kali mein nind na aae KHuda kare
ho tere dil mein meri KHalish meri aarzu
mere baghair chain na aae KHuda kare
tu ja rahi hai bazm-e-tarab mein to KHair ja
par tera ji wahan bhi na bahle KHuda kare
al-muKHtasar hon jitne sitam tujh pe TuT jaen
lekin ye rabt-e-zist na TuTe KHuda kare
jo kuchh main kah gaya hun junun mein wo sab ghalat
tujh par koi bhi aanch na aae KHuda kare
tu hai mata-e-qalb-o-nazar bewafa sahi
hai raushni-e-dagh-e-jigar bewafa sahi
Nazm
Ek bewafa ke nam
Owais Ahmad Dauran