ek be-ant wajud hai is ka
gahre kale maKHmal aisa
jis par lakhon arbon aankhen
naqsh hui hain
in aankhon mein
main ek aisi aankh hun
jis ne
ek hi pal mein
sara manzar
aur manzar ke pichhe ka sab KHali manzar
dekh liya hai
takna is ne sikh liya hai
par wo gahra kala maKHmal
us ko is se gharaz nahin hai
kaun si aankh ko binai ka dan mila hai
kya is ka anjam hua hai
Nazm
Ek be-ant wajud
Wazir Agha