wo ek laDki
jo KHamoshi mein bhi aksar chahakti thi
subh se sham tak aur raat mein bhi baaten karti thi
sabhon ko shad rakhti thi bahut masrur rahti thi
kabhi baadal kabhi KHushbu kabhi gul-rang ki surat
barasti thi bikharti thi badalti thi
magar mahsus hota tha hamesha pas rahti hai
jo wo anjaan banti thi
aziz az jaan lagti thi
kabhi chanchal hawa panchhi ke pankhon aur nadi ke lams ki manind
utar aati thi dil mein ruh ko pur-kaif rakhti thi
kabhi honTon ke ras aankhon ki shabnam galon ke KHush-rang mausam se
nashe ko jhil ko gulbun ko bhi wo mat deti thi
main us ke lams se ruKHsaron ki dhimi tamazat garm sanson se
bahut qurbat bahut apnaiyat mahsus karta tha
zehn ke pas pata tha use apna samajhta tha
magar phir kya hua ek din ki ek bad-baKHt Dain ne
KHuda jaane kahan bheja ki sab la-ilm hain us se
magar pahunche hue darwesh ne ye bhed khola hai
basera us ka ab hai chandni ke kunj
sitaron ke baghichon mein
wo un ki sair karti hai magar ghamgin rahti hai
use sab wahm kahte hain KHilaf-e-aql kahte hain
magar pakka yaqin hai jab koi TuTa hua tara
zamin ko chumne aaega wo bhi sath aaegi
phir apne sath wo KHushiyon ke sadha gul bhi laegi
so har shab jagta hun
rah mein aakash ki aankhen bichhata hun
magar jo tara aata hai zamin tak aa nahin pata
Nazm
Ek adhuri dastan
Abu Bakr Abbad