wo kahte hain
main kabhi zinda nahin tha
is liye na wo meri hansi ke bare mein kuchh bata sakte hain
na aansuon ke bare mein
ya ye ki jab main chalta tha
to mere panw zamin par Thik tarah se
paDte bhi the ya nahin
unhon ne hamesha mujhe be-jaan hi paya
aise
ki meri nabz ruki hui thi
dil sakit
aur jism siyah paD chuka tha
lekin meri aankhen puri tarah khuli hui thin
jin se unhen KHauf aata tha
lekin rafta rafta
un ka KHauf rafa hota gaya
un ka subut ye hai
ki wo apni bekar ashiya
meri taraf uchhaal dete the
kabhi wasli ka KHali Duba
ainak ki TuTi hui kamani
ya be tale ki koi chabi
agarche is baat se wo puri tarah aagah the
ki aisa karte hue
wo ek lash ki be-hurmati kar rahe the
lekin ab wo is baat ke goya aadi ho gae the
aisa karte hue
unhen kisi qism ki jhijak
ya sharmindagi nahin hoti thi
shayad unhon ne kisi waqt meri lash ko
kahin Thikane lagane ke bare mein bhi socha ho
par aisa kar na pae hon
shayad kisi ne unhen aisa karne se rok diya ho
shayad wo meri khuli hui aankhen dekh kar Dar gae hon
shayad wo KHud apni nabzen TaTolne
apni dhaDkanen sunne
aur apne jism mein runuma hone wali tabdiliyon se
buri tarah KHaif hone lage hon
apne is KHauf par qabu pane ke liye
shayad unhon ne apni be-kar ashiya
meri taraf uchhaalni shurua kar di hon
shayad yun wo apne liye
kisi nae mazhab ki buniyaad Dal rahe hon
jis mein unhen
lashon ki be-hurmati ki khuli chhuT de di gai ho
main in ki kisi ghalat fahmi ko dur karne ki koshish nahin karunga
ki mere maslak mein
lashon ki be-hurmati ki koi gunjaish nahin
zindon ki bhi nahin

Nazm
Ijazat
Saeeduddin