ye kaun saKHi hain
jin ke lahu ki
ashrafiyan chhan-chhan, chhan-chhan,
dharti ke paiham pyase
kashkol mein Dhalti jati hain
kashkol ko bharti hain
ye kaun jawan hain arz-e-ajam
ye lakh-luT
jin ke jismon ki
bharpur jawani ka kundan
yun KHak mein reza reza hai
yun kucha kucha bikhra hai
ai arz-e-ajam, ai arz-e-ajam!
kyun noch ke hans hans phenk diye
un aankhon ne apne nilam
un honTon ne apne marjaan
un hathon ki be-kal chandi
kis kaam aai kis hath lagi
ai puchhne wale pardesi
ye tifl o jawan
us nur ke nau-ras moti hain
us aag ki kachchi kaliyan hain
jis miThe nur aur kaDwi aag
se zulm ki andhi raat mein phuTa
subh-e-baghawat ka gulshan
aur subh hui man-man, tan-tan,
un jismon ka chandi sona
un chehron ke nilam, marjaan,
jag-mag jag-mag ruKHshan ruKHshan
jo dekhna chahe pardesi
pas aae dekhe ji bhar kar
ye zist ki rani ka jhumar
ye amn ki dewi ka kangan!
Nazm
Irani talaba ke nam
Faiz Ahmad Faiz