chalo hum id manaen ki jashn ka din hai
KHushi ke git sunaen ki jashn ka din hai
ruKHon pe phul khilaen ki jashn ka din hai
dilon mein prit jagaen ki jashn ka din hai
magar ruko zara Thahro ye siskiyan kaisi
KHushi ki rut mein dukhon ki ye badliyan kaisi
suno ye ghaur se maen bilak rahi hain kahin
ye dekho bachchon ki aankhen chhalak rahi hain kahin
kisi ke id ke joDe mein hai kafan aaya
kahin pe zaKHmon se lipTa hua badan aaya
koi to khilne se pahle kali ko luT gaya
kahin daraKHt hi apni zamin se TuT gaya
kis ne kar diye pamal saya-dar shajar
jaDen kahin pe kaTin aur kahin bache na samar
kahan hain wo ki jo KHud ko KHuda samajhte hain
wo jo ki amn-o-aman ke fasane kahte hain
wo jin ke hath mein rahta hai parcham-e-insa'n
hue hain un ke sab afkar-e-amn ab uryan
agar hain sahab-e-kirdar to zaban kholen
agar hain sahab-e-iman to phir wo sach bolen
hain muqtadir to bas ab rok len husam-e-jaur
ye bahti KHun ki nadiyan musibaton ka daur
pa un se koi umid-e-wafa kare kaise
jo ba-dua ho mujassam dua kare kaise
jahan mein chaar taraf chiKH hai karahe hain
sitam-rasida dilon se nikalti aahen hain
hai shor-e-nala-o-ah-o-buka chahaar taraf
kahan ki id hai matam bapa chahaar taraf
manae kaise koi id har taraf gham hai
manae kaise koi id aankh pur-nam hai
sunae kaise koi git saz TuT gae
jagae kaise koi aas apne chhuT gae
magar ye id ka din bhi to ek haqiqat hai
ki wajh-e-id samajhna bhi ek ibaadat hai
chalo ki rote huon ko hansa ke id manaen
kisi ke dard ko apna bana ke id manaen
dilon se apne adawat miTa ke id manaen
kisi ke lab pe tabassum saja ke id manaen
Nazm
Id
Shifa Kajgavnwi