yun lab se apne nikle hai ab bar-bar aah
karta hai jis tarah ki dil-e-be-qarar aah
hum id ke bhi din rahe ummid-war aah
ho ji mein apne id ki farhat se shad-kaam
KHuban se apne apne liye sab ne dil ke kaam
dil khol khol sab mile aapas mein KHas o aam
aaghosh-e-KHalq gul-badanon se bhare tamam
KHali raha par ek hamara kanar aah
kya puchhte ho shoKH se milne ki ab KHabar
kitna hi justuju mein phire hum idhar idhar
lekin mila na hum se wo ayyar fitnagar
milna to ek taraf hai azizo ki bhar-nazar
poshak ki bhi hum ne na dekhi bahaar aah
rakhte the hum umid ye dil mein ki id ko
kya kya gale lagawenge dil-bar ko shad ho
so tu wo aaj bhi na mila shoKH-e-hila-ju
thi aas id ki so gai wo bhi dosto
ab dekhen kya kare dil-e-ummid-war aah
us sang-dil ki hum ne gharaz jab se chah ki
dekha na apne dil ko kabhi ek dam KHushi
kuchh ab hi us ki jaur-o-taddi nahin nai
har id mein hamein to sada yas hi rahi
kafir kabhi na hum se hua ham-kanar aah
iqrar hum se tha kai din aage id se
yani ki id-gah ko jawenge tum ko le
aaKHir ko hum ko chhoD gae sath aur ke
hum hath malte rah gae aur rah dekhte
kya kya gharaz saha sitam-e-intizar aah
kyun kar lagen na dil mein mere hasraton ke tir
din id ke bhi mujh se hua wo kanara-gir
is dard ko wo samjhe jo ho ishq ka asir
jis id mein ki yar se milna na ho 'nazir'
us ke upar to haif hai aur sad-hazar aah
Nazm
Id
Nazeer Akbarabadi