bichhDe huon ko bichhDe huon se milae hai
har samt id jashn-e-mohabbat manae hai
insaniyat ki peng mohabbat baDhae hai
mausam har ek umid ko jhula jhulae hai
barish mein khet aisi tarah se nahae hai
raunaq har ek kisan ke chehre pe aae hai
hum sab ko apne ghere mein lene ke waste
chaaron taraf se ghir ke ghaTa aaj aae hai
haiwaniyat ne KHun ke dhabbe janam diye
barsat aa ke KHun ke dhabbe chhuDae hai
shahzadi-e-bahaar ki aamad hai bagh mein
har ek phul rah mein aankhen bichhae hai
hai kitni pyari pyar bhari id ki ada
apna samajh ke sab ko gale se lagae hai
sach puchhiye to ye bhi mohabbat ka hai subut
jo rae aap ki hai wahi meri rae hai
bauchhaaren aa ke deti hain us ko salamiyan
bansi baja baja ke jo mela lagae hai
main jaunga to phir kabhi wapas na aaunga
kali ghaTa to har baras aae hai jae hai
id-ul-fitar ki wajh-e-sharafat to dekhiye
har sal aa ke sab ko gale se lagae hai
dije duaen id ki tyauhaar ko 'nazir'
ek bhiD aaj aap se milne ko aae hai

Nazm
Id milan
Nazeer Banarasi