zahe-qismat hilal-e-id ki surat nazar aai
jo the ramzan ke bimar un sab ne shifa pai
pahaDon se wo utre qafile roza-guzarun ke
gaya garmi ka 'mausam aur aae din bahaaron ke
uTha hotel ka 'parda samne parda-nashin aae
jo chhup kar kar rahe the ehtiram-e-hukm-e-din aae
hui angur ki beTi se masti-KHan ki shadi
khule dar mai-kadon ke aur mili rindon ko aazadi
nawed-e-kaamrani la rahe hain race ke ghoDe
masarrat ke tarane ga rahe hain race ke ghoDe
mubarak ho ki phir se ho gaya dance aur dinner chaalu
KHalas ahl-e-nazar honge hua dard-e-jigar chaalu
namaz-e-id paDhne ke liye sarkar aae hain
aur un ke sath sare talib-e-didar aae hain
yahi din ahl-e-dil ke waste ummid ka din hai
tumhaari did ka din hai hamari id ka din hai
Nazm
Id ka din
Majeed Lahori