waqt dariya ki manind bahta rahega sada
jagmagate rahenge sitare
yunhi shab ki poshak mein
gul khilati rahegi hawa
ta-abad aab mein, KHak mein
istada rahenge KHayaban KHayaban
ye sarw-o-sanobar yunhi
sahilon par yunhi
langar-andaz honge jahaz
aur bachche yunhi sipiyan chunne
aate rahenge sada
yunhi mela rahega
zamane ke kuchon mein
bazar mein!
aur insan zinda rahega sada
ek paikar mein
ek zamane talak hum bhi sab ki tarah
yunhi socha kiye
yunhi samjha kiye
aur shab-o-roz ka be-nishan qafila
parda-e-ghaib mein
gum-shuda manzilon ki taraf
KHamushi se raha gamzan
zindagi mein achanak phir ek roz
ek hadsa ho gaya
jis ki shiddat se ek umr ka
sehar-e-fikr-o-nazar TuT bikhra
to aaKHir ye uqda khula
waqt dariya hai lekin ye KHud
ek samundar mein ja girta hai
us samundar ki jaanib hai
hasti ka sara safar
aankh ne aaj tak jitne manzar bhi dekhe
wo sab us ke
apne tarashida the
aur dil mein dhaDakta hua
tajrid-e-wahm-o-guman ke siwa kuchh nahin
aarzu-e-gham-e-agahi aisi arzan nahin
zist ke dusre raston ki tarah
rah-e-kar-e-junun itni aasan nahin
hai bulandi ki jaanib agar zindagi ka safar
phir to kuchh aur hain manzilen aadmi ke liye
jin ke har gam par, zindagi ke liye
hai sabaat-e-abad muntazir
aap-apni nafi ke amal se
guzarna paDega use
mahbas-e-ab-o-gil se
nikalna paDega use
Nazm
Idrak
Mubeen Mirza