idhar na dekho ki jo bahadur
qalam ke ya tegh ke dhani the
jo azm-o-himmat ke muddai the
ab un ke hathon mein sidq-e-iman ki
aazmuda purani talwar muD gai hai
jo kaj-kulah sahib-e-hasham the
jo ahl-e-dastar mohtaram the
hawas ke pur-pech raston mein
kulah kisi ne girau rakh di
kisi ne dastar bech di hai
udhar bhi dekho
jo apne ruKHshan lahu ke dinar
muft bazar mein luTa kar
nazar se ojhal hue
aur apni lahad mein is waqt tak ghani hain,
udhar bhi dekho
jo harf-e-haq ki salib par apna tan saja kar
jahan se ruKHsat hue
aur ahl-e-jahan mein is waqt tak nabi hain
Nazm
Idhar na dekho
Faiz Ahmad Faiz