اردو हिंदी
Idhar ki aawaz is taraf hai | Shaahi Shayari
idhar ki aawaz is taraf hai

Nazm

Idhar ki aawaz is taraf hai

Rajinder Manchanda Bani

;

ujaD si dhup
aadhi saat

ki na-mukammal alamaten
dagh dagh aankhen

ye Tila Tila
utarti bheDen

kahan hai
jo un ke sath hota tha

ek farishta
kaTi phaTi zard

sham se
kaun baDh ke puchhe

ki ek ek barg
aagahi ka

hawa ke pile
larazte hathon se gir raha hai

tamam mausam bikhar raha hai
ki dhime dhime se aati shab ka

ye aabi manzar
KHunuk sa shisha

ki wadi wadi ke darmiyan hai
agar udhar ki sada hai koi

to us taraf hai
idhar ki aawaz

is taraf hai