tumhaari haDDiyan muDti nahin hain
rahm-e-madar se nikalne ke liye betab ho
sote raho ye ghar grihasti ka zamana hai
maweshi astabal mein jaenge aur unT KHeme mein
faras ibn-e-ziyaada ke liye uzw ziyaada hai
sawari waste mushki hiran zanjir karte hain
zamin-e-shor se shorida-sar ifrit se baune
samundar se gulabi machhliyan
miTTi se suraj mukh ka jangal
chaar-diwari se uTh kar dekhta hai
aanganon mein hal nahin chalte
abu-suifyan se main ne suna tha
abu-suifyan se main ne suna tha
aanganon ka haal KHemon ki KHabar ghoDon ke jal jaane ka qissa
jab bidak kar bhag uThe the maweshi unT suraj-mukh sipah-zade
abu-suifyan ke beTe
abu-suifyan se main ne suna tha
abu-suifyan se main ne suna hai
aanganon ki KHair likkhi hai ziyaad-ibn-e-ziyaada ne
nai belen chaDhai hain purani kursiyon par
mez par KHargosh pala hai
ghaDon mein nariyal ki kasht ki hai
beach angnai mein likkha hai
tumhaari haDDiyan muDti nahin hain
rahm-e-madar se nikalne ke liye betab ho
ye ghar grihasti ka zamana hai
maweshi astabal mein jaenge aur unT KHeme mein
Nazm
Ibn-e-ziyaad ka farman
Mohammad Anvar Khalid