ai arz-o-sama ke KHaliq
be-aib-o-dana rahim-o-malik
na jaane kitni hai maKHluq teri
hisab kaise tu rakhta hoga
kahin pe insan kahin pe shaitan
farishte jin aur tuyur-o-haiwan
bahr-o-bar mein zamin ke bhitar
sang-o-chob aur faza ke andar
hain aur bhi to karoDon zi-ruh
hain sab ke sab jo mutia-o-qael
magar wo aalam fahim jis ko
ki to ne ahsan-tarin banaya
ashraf-ul-KHalq zaki banaya
wahi jo hum hain ki yani insan
hai dawa jis ko payambari ka
malaik-o-jin pe bartari ka
hai jis ki KHidmat mein chand-suraj
hua samundar pahaD baadal
zamin ka madfan faza ki wusat
na jaane phir kya hua ye hum ko
razil bante chale gae hum
bachchon buDhon pe qahr Dha kar
KHabis bante chale gae hum
KHud apni beTi bahan ko apne
hawas ka luqma bana rahe hain
apni man ko bahu ko apni
ashkon mein hum Dubo rahe hain
amn ki jaghon ko raund Dala
tumhein bhi hisson mein banT Dala
KHudaya koi KHata hui hai
ya shayad hum se ya shayad tujh se
hisab mein tere kami hai shayad
ya meri fitrat badal gai hai
ai KHaliq-e-kaenat-o-bartar
bas ek fariyaad aur sun le
hisab apna tu Thik kar le
ya phir se fitrat badal de meri
Nazm
Ibn-e-qabil ki dua
Abu Bakr Abbad