to phir yun hua
ibn-e-maryam ne ek unche Tile pe chaDh kar kaha
sun rahe ho
jahan tum ne boya nahin hai
wahan kaTne kyun chale ho
jahan kuchh bikhera nahin hai
wahan se sameToge kya
lao apne gunahon ke pushtare lao
kahan tak inhen lad kar yun phiroge
inhen dafn kar do
to mumkin hai kal is zamin par tumhein
nekiyon ke daraKHton se
lazzat ke phal mil sakenge
aur phir yun hua
ibn-e-maryam ne dekha
to maidan mein
chand bheDen khaDi thin
log apne makanon ki jaanib
gunahon ko lade
baDhe ja rahe the
aur Tile pe tanha khaDa ibn-e-maryam ajab lag raha tha
Nazm
Ibn-e-maryam
Mohammad Alvi