tum KHuda ho
KHuda ke beTe ho
ya faqat amn ke payambar ho
ya kisi ka hasin taKHayyul ho
jo bhi ho mujh ko achchhe lagte ho
mujh ko sachche lagte ho
us sitare mein jis mein sadiyon ke
jhuT aur kizb ka andhera hai
us sitare mein jis ko har ruKH se
rengti sarhadon ne ghera hai
us sitare mein jis ki aabaadi
amn boti hai jang kaTti hai
raat piti hai nur mukhDon ka
subh sinon ka KHun chaTti hai
tum na hote to jaane kya hota
tum na hote to us sitare mein
dewta rakshash ghulam imam
parsa rind rahbar rahzan
barhaman shaiKH padri, bhikshu
sabhi hote magar hamare liye
kaun chaDhta KHushi se suli par
jhonpaDon mein ghira ye virana
machhliyan din mein sukhti hain jahan
billiyan dur baiThi rahti hain
aur KHarish-zada se kuchh kutte
leTe rahte hain be-niyazana
dum maroDe ki koi sar kuchle
kaTna kya wo bhunkte bhi nahin
aur jab wo dahakta angara
chhan se sagar mein Dub jata hai
tirgi oDh leti hai duniya
kashtiyan kuchh kinare aati hain
bhang ganga, charas sharab, afyun
jo bhi laen jahan se bhi laen
dauDte hain idhar se kuchh sae
aur sab kuchh utar late hain
gaDi jati hai adl ki mizan
jis ka hissa usi ko milta hai
yahan KHatra nahin KHayanat ka
tum yahan kyun khaDe ho muddat se
ye tumhaari thaki thaki bheDen
raat jin ko zamin ke sine par
subh hote unDel deti hai
manDiyon, daftaron milon ki taraf
hank deti dhakel deti hai
raste mein ye ruk nahin saktin
toD ke ghuTne jhuk nahin saktin
un se tum kya tawaqqoa rakhte ho
bheDiya un ke sath chalta hai
takte rahte ho us saDak ki taraf
dafn jin mein kai kahaniyan hain
dafn jin mein kai jawaniyan hain
jis pe ek sath bhagi phirti hain
KHali jeben bhi aur tijoriyan bhi
jaane kis ka hai intizar tumhein
mujh ko dekho ki main wahi to hun
jis ko kuDon ki chhanw mein duniya
bechti bhi KHaridti bhi thi
mujh ko dekho ki main wahi to hun
jis ko kheton se aise bandha tha
jaise main un ka ek hissa tha
khet bikte to main bhi bikta tha
mujh ko dekho ki main wahi to hun
kuchh mashinen banain jab main ne
un mashinon ke malikon ne mujhe
be-jhijak un mein aise jhonk diya
jaise main kuchh nahin hun indhan hun
mujh ko dekho ki main thaka-haara
phir raha hun jugon se aawara
tum yahan se haTo to aaj ki raat
so rahun main isi chabutre par
tum yahan se haTo KHuda ke liye
jao wo wietnam ke jangal
us ke maslub shahr zaKHmi ganw
jin ko injil paDhne walon ne
raund Dala hai phunk Dala hai
jaane kab se pukarte hain tumhein
jao ek bar phir hamare liye
tum ko chaDhna paDega suli par
Nazm
Ibn-e-maryam
Kaifi Azmi