اردو हिंदी
Iblagh | Shaahi Shayari
iblagh

Nazm

Iblagh

Sulaiman Areeb

;

gala runDha ho to hum baat kar nahin sakte
ishaaron aur kinayon se apne matlab ko

bajae kanon ke aankhon pe thop dete hain
gala tha saf to kya hum ne tir mara tha

yahi ki nam kamaya tha yawa-goi mein
ghazal-sarai mein ya falsafa-taraazi mein

magar wo baat jo sach hai abhi gale mein hai
gala runDha ho gala saf ho to farq hi kya