muKHatib
aasman hai ya zamin
malum kar lena
ki donon ke liye tashbib ke
misre alag se hain
kahin aisa na ho
ki aasman bad-zan
zamin naraaz ho jae
qaside mein gurez-e-na-rawa ka
moD aa jae
tere sar pe koi ilzam aaed ho
ki tu bhi andalib-e-gulshan-e-na-afrida hai
suKHan-fahmi teri gunjalak
bayan ibham-dida hai
ye mashwara is liye deta hun
jaan-e-man
ki gardish mein ghira hai aasman
barham tabaq sare
zamin bhi apne mahwar se alag chakkar lagati hai
qasida soch ke likhna
kahin inam o KHilat ki jagah
kasa na bhar jae
malamat se
KHajalat se
nadamat se
Nazm
Ibham dida
Wahab Danish