اردو हिंदी
Huzn-e-insan | Shaahi Shayari
huzn-e-insan

Nazm

Huzn-e-insan

Noon Meem Rashid

;

jism aur ruh mein aahang nahin
lazzat-andoz-e-dil-awezi-e-mauhum hai to

KHasta-e-kashmakash-e-fikr-o-amal
tujh ko hai hasrat-e-izhaar-e-shabab

aur izhaar se mazuri bhi hai
jism neki ke KHayalat se mafrur bhi hai

is qadar sada o masum hai tu
phir bhi neki hi kiye jati hai

ki dil o jism ke aahang se mahrum hai tu
jism hai ruh ki azmat ke liye zina-e-nur

mamba-e-kaif-o-surur
na-rasa aaj bhi hai shauq-e-parastar-e-jamal

aur insan hai ki hai jada-kash-e-rah-e-tawil
ruh-e-yunan pe salam

ek zamistan ki hasin raat ka hangam-e-tapak
us ki lazzat se aagah hai kaun

ishq hai tere liye naghma-e-KHam
ki dil o jism ke aahang se mahrum hai tu

jism aur ruh ke aahang se mahrum hai tu
warna shab-ha-e-zamistan abhi be-kar nahin

aur na be-sud hain ayyam-e-bahaar
aah insan ki hai wahmon ka parastar abhi

husn bechaare ko dhoka sa diye jata hai
zauq-e-taqdis pe majbur kiye jata hai

TuT jaenge kisi roz mazamir ke tar
muskura de ki hai tabinda abhi tera shabab

hai yahi hazrat-e-yazdan ke tamasKHur ka jawab