jab kitabon ke nawishton se phisal kar
meri darmanda nigah
chaar-su phaile hue safha-e-ayyam pe ja paDti hai
dil mein ek huk si uThti hai
ubhar aate hain dukhte hue jaankah sawal
phir isi huk ke lahje mein KHuda bolta hai
zindagani ki kaDi sharten hain
ye ibaadat hai tumhaari ki mere baKHshe hue dukh jhelo
in parindon ka, bahaim ka tasawwuf dekho
kaise minqar-shikasta tair
dane dane ko taras jata hai danon mein ghira
musht-e-par KHak mein Dhal jati hai rafta rafta
jaan kho dene ke be-zar irade ke baghair
kisi shikwe ke baghair
aur ye mujh se baDa dars samajh mein nahin aata meri
kis liye us ki mashiyyat ne kiya dukh paida
sochta hun to Dhalak aate hain ashkon mein sawal
hai meri soch mere apne liye ek azab
us pe aaed hi nahin mere sawalon ka jawab
Nazm
Huk
Khursheed Rizvi